*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Ek Sawal Arz Hai Rahnumayi Farmayen . Kya Sunnate Moqda Aur Gair Moqda Padhne Me Kuchh Farq Hota Hai ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sunnat E Muakkida Jab Char Rakat Padhenge To Qaidae Ula Me Sirf Attahiyyat Padh Ke Khade Ho Jaenge
Aur Tisri Rakat Me Tasmiyah Padh Ke Sura E Fatiha Aur Surat Milaenge
Phir Ruku Sujud Ke Bad Namaz Khatam Karenge.
Jab Ki Sunnat E Gair Muakkida Me Qaid E Ula Me Attahiyyat Ke Bad Durud Sharif Aur Duaa Padhna Mustahb He,
Aur Tisri Rakat Me Sana Ta'awwuz V Tasmiya Bhi Padhi Jaegi Jis Tarah Pahli Rakat Shuru Ki Thi,
Phir Aur Namazon Ki Tarah Ye Namaz Bhi Puri Ki Jaegi.
Wllahu Ta'ala Aalam
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️14 June 2020, 21 Shawwal 1441*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments