Hazrat Maulana Zia-ud-deen Ahmad Razawi Madani rahmatullāhi alaihi :
----------------
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-e-Madeena, Zia-e-Millat.
****************
Aap ki wilaadat 1294 Hijri (1877 A.D.) me hui.
****************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Allama Abdul Hakeem Sialkoti rahmatullāhi alaihi hai.
Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
*****************
Aap ne Sialkot me Hazrat Maulana Muhammad Husain Naqshbandi Pasarvi se bunyaadi ta’aleem haasil ki. Phir Lahore me (Khateeb e Shaahi Masjid) Hazrat Maulana Ghulaam Qaadir Bhervi se ta’aleem haasil ki.
Pilibhit me qayaam ke dauraan Aap har mangal ke roz Hazrat Wasi Ahmad Surati Mohaddeeṡ aur Hazrat Maulana Abdur Rahmān Aazamgadhi ke saath Bareilly tashreef le jaakar A’ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan ki mehfil me haazir hokar ta’aleem haasil karte.
18 saal ki umr me A’ala Hazrat ne Aap ko khilaafat ata farmai.
*****************
Is ke baad Aap Baghdad tashreef laaye aur kuchh arsa waha rahe.
Phir 1327 Hijri (1910 A.D.) me Aap Madeena munawwara tashreef le gaye. Aap ne 74 saal tak Madeena me Baab e Majeedi ke saamne qayaam pazeer rahe. Is dauraan Aap sirf 3 baar Madeena se baahar gaye.
Aap ne hamesha sunnat o hadeeṡ amal karke mukammal ishq e Rasool ka ṡaboot pesh kiya.
Aap puri zindagi ta’aleem e deen karte rahe aur Ahle Sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat karte rahe.
***************
Aap ka nikaah Sayyed khaandaan me hua.
***************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Hamesha shariat ki paabandi karo. Jo jitna zyada shariat ka paaband hota hai utna hi Tareeqat me buland maqaam paata hai.
(2) Neki karna yeh ALLĀH ta’ala ki taraf se Taufeeq hai aur qubooliyat ki nishaani hai. Beshak Hidaayat ALLĀH ta’ala ki taraf se hai magar bande ko hamesha Nek amal karne ki koshish karni chaahiye.
(2) Hamesha Sattaar bano aur dusre musalmano ke aib chhupaao chaahe wo deeni ho ya duyaawi.
(3) Dunya bahot buri cheez hai. Jo insaan us me jitna ulajhta hai woh utna hi us me doobta jaata hai aur jo dunya se door rehta hai us ke qadmo me aati hai.
(5) Takabbur aur shaikhi Aql ko barbaad kar dete hain.
(6) Aqlmand shakhs 4 cheezo ko kabhi nahi chhodta : Sabr, Shukr, Sukoon aur Tanhai.
(7) Rizq ke pichhe paagal ya jaanwar ki tarah mat bhaago kyun ki jitna qismat me hai utna hi milega.
(8) Makhlooq ki khidmat aur husn e sulook hi khaaliq se sachi mohabbat ki nishaani hai.
(9) Logo ko khaana khilaate raho aur kaṡrat se khairaat karte raho kyun ki chhupaakar sadqa karna ALLĀH ta’ala ke ghazab ke thanda karta hai.
(10) Kabhi bhi kisi se sakhti ya zyadti se bartaav mat karo kyun ki us me koi bhalaai nahi hai.
(11) Agar koi Madeena munawwara me adl aur sabr ke saath qayaam karta hai to us ke rizq me har taraf se barkat hoti hai.
*************
Aap A’ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ko Hazrat Allama Imaam Yousuf al-Nabhani Mujaddidi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Shaikh Wasi Ahmad Mohaddeeṡ Naqshbandi Surati rahmatullāhi alaihi, Hazrat Allama Shaikh Ahmad Shams al-Maghribi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Shaikh Mahmood al-Maghribi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Maulana Abdul Baaqi Farangi-Mahali rahmatullāhi alaihi, Hazrat Sayyed Husain al-Hasani al-Kurdi rahmatullāhi alaihi, aur Hazrat Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Kichhochhawi rahmatullāhi alaihi ne bhi khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khulfa :
(1) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Allama Maulana Fazl-ul-Rahmān Qaadri rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Mufti Muraad Ali Shaami rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Allama Mufti Muhammad Waqaar-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Sher Besha e Ahle Sunnat Allama Maulana Hashmat Ali Khan rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Maulana Mufti Sayyed Shaah Rafaaqat Husain Kanpuri rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Allama Maulana Mohammad Zareef Faizi Chishti rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Allama Mufti Manzoor Ahmad Faizi Chishti rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Maulana Shaah Muhammad Ibrāheem Khushtar Siddeeqi rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 3 Zil Hijjah 1401 Hijri (2 October 1981 A.D.) ko hua.
Wisaal ke waqt Aap ki zabaan par Kalma e Tayyaba jaari tha.
Aap ki namaaz e janaaza aap ke khalifa Hazrat Mufti Muraad Ali Shaami rahmatullāhi alaihi ne padhaai.
Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Qutb-e-Madeena Maulana Zia-ud-deen Ahmad Madani rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ske waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments