بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 43 « •─• islami Zindagi •─• ╭► Chhink Aur Jamahi Ke Masa’il ⁀➷ ─≽ Mas’ala:- Agar Chhinkne Wala ''Al-Hamdulillah'' Nahi Kahe To Use Jawab Nahi Deni Chaahiye.Kyunki Huzur Sallallaho Alaihe Wasallam Ki Baargah Me Ek Shakhs Ne Chhinka Aur ''Al-Hamdulillah'' Nahi Kaha. To Aap Sallallaho Alaihe Wasallam Ne ''Yarhamukallah'' Keh Kar Jawab Nahi Diya Aur Farmaya Ki:Beshak Ye Jawab Us ke liye Hai Jo Allah Ki Hamd Kare. ✍(Sahi Bukhari,Hadees No.6221)📕 ─≽ Mas’ala:- Agar Koi Shakhs Baar Baar Chhink Raha Ho To Sirf Pahli Baar Jawab De de. ✍(Abu Dawood,Hadees No.5037)📒 ─≽ Mas’ala:- Jab Jemahi Aae To Muh Par Haath Rakh lena Chahiye.Huzur Nabi Kareem Sallallaho Alaihe Wasallam Ne irshad Farmaya Ki Jab Kisi Ko Jemahi Aae To Muh Par Haath Rakh Le(Kyunki Haath Na Rakhne Ki Wajah Se) Shaitan Muh Me Ghus Jaata Hai. 📝[Sahi Muslim,Hadees No.2995]📕 |
Share on |
0 Comments