Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu

Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu :
_________
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Zun-Noorain, Ghani-ul-Afzal, Sayyed-ul-Askhiya, Shaheed-e-Mazloom.
***********
Aap ki wilaadat 579 A.D. me (Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki wilaadat ke 6 saal pehle) Taa'if me hui.
***********
Aap ke waalid ka naam Affaan ibn Abul Aas aur waalida ka naam Arwa bint Karaiz hai.
Aap Quraish ke Banu Umayya qabeele se ta’alluq rakhte hain.
Jo Makka ke bahot raees aur izzatdaar khaandaano me se hain.
Aap ki naani Umme Hakeem Baida binte Abdul Muttalib Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke waalid Hazrate Abdullāh ki Tuwaama (judwa bahen) thi aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki phuphi thi.
*********
Aap ne 611 A.D. me Shaam [Syria] se tijaarat ke safar se waapas aane ke baad Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki daawat se Islaam apnaaya.
Aap musalman hone waale chothe (4) mard hain aur as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.
Aap ke musalman hone par aap ki 2 biwiya : Umme Amr bint Jundab aur Faatima bint Waleed, Aap ko chhodkar chali gai.
Aap ke chacha Haqam bin Abul Aas ko jab Aap ke musalman hone ka pata chala to unho ne Aap ko pakadkar baandh diya aur kaha “Tum apne baap-daada ka deen chhodkar ek naya deen ikhtiyaar karte ho. Main tumhe us waqt tak nahi chhodunga jab tak tum is naya deen ko na chhod doge.”
Aap ne farmaaya “Khuda ki qasam! Main deene Islaam ko kabhi nahi chhodunga aur kabhi is se juda na hounga.” Baar baar yeh jawaab sunkar aakhirkaar aap ke chacha ne Aap ko chhod diya.
*********
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par 5 Nabawi (614–615 A.D.) me Aap ne apni biwi Ruqayya bint Huzoor Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ke saath Habasha (Abyssinia) hijrat ki. Muhaajireen ke is giroh me 11 musalman mard aur 4 aurte thi.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Hazrate Uṡmaan Ghani un musalmano me se hai jinho ne deen e islaam ki khaatir sab se pehle hijrat ki hai.”
Phir kuchh waqt baad Aap Hazrate Ruqayya radiy-Allāhu ta’ala anha ke saath Makka waapas aa gaye.
622 A.D. me Aap ne apni biwi Hazrate Ruqayya ke saath Madeena hijrat ki aur Aap Hazrat Abu Talha ibn Ṡaabit al-Najjaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ke yaha thehre. Phir kuchh waqt baad Aap ne apna khud ka makaan bana liya.
Madeena me sukoonat ikhtiyaar karne ke baad Aap Tijaarat karte rahe aur Aap ki imaandaari ki wajah se ALLĀH ke fazl se Aap ke kaarobaar me hamesha barkat rahi.
**********
Aap Ashra e mubashara me se hain.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko 2 baar Jannati hone ki bashaarat di.
Aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam farmaaya karte the ke “Jise Jannati insaan ko dekhna ho woh Uṡmaan Ghani ko dekh le.”
Ek martaba Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke “Har Nabi ka ek rafeeq hota hai Uṡmaan Jannat me mera rafeeq hoga.”
******************
Ek martaba Hazrat Maula Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu ne ek mehfil me farmaaya “Hazrate Uṡmaan logo me se hain jin ke liye ALLĀH ta’ala ne yeh aayat naazil farmai : Un logo par jo eimaan laaye aur nek amal karte rahe us me koi gunaah nahi jo wo pehle khaa pee chuke hain jab ke wo (is ke baad deegar gunaaho se) bachte rahe aur (naazil hone waale ahkaam par) eimaan laaye aur aamaale saaleh karte rahe aur phir (jab un cheezo ke liye haraam ka hukm naazil hua to un cheezo se bhi) parhez karte rahe aur (is tarah har hukme ilāhi par mukammal) eimaan laaye, Phir taqwa waale hue aur (phir) ehsaan waale ban gaye, Aur ALLĀH ehsaan waalo se mohabbat farmaate hai.” (Qur'ān : Soorah al-Maa'idah, Aayat 93)
*********
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam akṡar Aap ko apne khat likhne ka kaam dete the.
Aur kai baar ‘Wahy’ (Aayate) bhi likhwate the.
*********
Hazrate Uṡmaan Ghani ne Jung e Badr ke ilaawa har Jung me shirkat ki.
Jung e Badr ke mauqe par Aap ki biwi Ruqayyah shadeed beemaar thi aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par aap un ki khidmat wa timaardaari ke liye rooke the. Lekin jab Junge Badr me musalmano ki fatah ki khabar mili us se pehle hi Hazrate Ruqayya radiy-Allāhu ta’ala anha ka inteqaal ho chuka tha.
Aap ki is farmaan bardaari ki wajah se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ko Ashaabe Badr me shumaar karke Aap ko ṡawaab bhi ata farmaaya aur maale ghanimat me bhi hissa ata farmaaya.
*********
Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apni saahabzaadi Umme Kulṡoom ka nikaah Hazrate Uṡmaan Ghani se kiya.
Is tarah Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki 2 saahabzaadiya ek ke baad ek Aap ke nikaah me aai. Is liye Aap ko ‘Zun-Noorain’ kaha jaata hai.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam kehte the “Agar meri aur koi beti hoti to main wo bhi Uṡmaan ke nikaah me deta.”
***************
3 Hijri me Maarka e Banu Ghaftan aur 4 Hijri me Maarka e Zaat-ur-Riqa ke mauqe par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam Aap ko Madeena munawwara me apna naa'ib banakar tashreef le gaye.
**********
Aap ki Sakhaawat mash'hoor hai.
Aap ko ‘Ghani-ul-Afzal’ ya’ani tamaam sakhiyo me bartar [Ghani ka ma’ana hai be-hisaab sakhaawat karne waala] aur ‘Sayyed-ul-Askhiya’ kaha jaata hai ya’ani ‘Tamaam sakhiyo ke sardaar’.
Aap ko ALLĀH ta’ala ne bahot maal o daulat ata farmaaya tha. Magar Aap hamesha saadgi se rehte the aur sunnat e rasool par amal karte the aur ALLĀH ki raza ke liye ishq e Rasool ke saath zyada se zyada khairaat karte rehte the.
**********
Ek martaba Huzooor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam irshaad farmaaya ke “Jo shakhs (masjid se mutassil) ghar khareed kar Masjid e Nabawi me shaamil kare use ALLĀH ta’ala bakhsh dega.” Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ne wo ghar khareed kar masjid me shaamil kar diye. Phir ek martaba Huzoor Sayyed e Aalam sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Jo shakhs falaan qabeele ke murbad ya’ani khajoore aur galla sookhaane ki jagah khareed kar musalmaano par waqf kar de us ko ALLĀH ta’ala bakhsh dega.” Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ne us jagah ko khareed kar musalmaano par waqf kar diya. Phir ek martaba Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “Jo shakhs jaish e asraat ka saamaan muhaiyya kar de ALLĀH ta’ala us ko bakhsh dega.” Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ne tamaam lashkar ka mukammal saamaan faraaham kar diya, yaha tak ke us me ek uqaal bhi kam na thi.
(Kanzul Ummal, Kitaab ul Fazaa'il, Hadeeṡ -36249)
**********
Jab Muhaajireen Makka mukarrama se hijrat karke Madeena munawwara me aaye to yaha ka paani pasand na aaya jo khaari tha.
Madeena Munawwara me ek shakhs ki milkiyat me chashma (kuvan) tha, jis ka naam ‘Beer e Rumaa’ tha. Woh shakhs apne chashme ka paani bechta tha.
Huzoor sallallaāhu alaihi wa sallam ne us se farmaaya “Tum yeh chashma mujhe jannat ke chashme ke badle bech do aur Jannat ka chashma mujh se le lo.”
Us ne arz kiya “Meri aur mere ahl o ayaal ki rozi isi se hai. Mujh me taaqat nahi.”
Yeh khabar Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ko pahunchi to aap ne 35000 dirham dekar us shakhs se woh chashma khareed liya.
Phir Aap ne Huzoor Sarware kaunain sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me haazir hokar arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Jis tarah aap us shakhs ko jannat ka chashma ata farma rahe the agar main ye chashma us se khareed lu to kya Huzoor woh Jannat ka chashma mujhe ata farma denge?”
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Beshak wo main tumhe de dunga.”
Hazrat Uṡmaan Ghani ne khush hote hue arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Woh chashma maine khareed liya hai aur ab use main musalmano ko waqf karta hu.”
Woh kuan ‘Beer e Uṡmaan’ ke naam se mash'hoor hai. Madeena shareef jaane wale khusnaseeb us kuen ki ziyarat ke liye jaate hain.
**********
Ghazwa e Tabook ke dauraan aap ne ek tihaai musalman lashkar (taqreeban 1000 aadami) ka kharch apne zimme liya aur saath me baaqi lashkar ko madad karne ke liye 1000 deenaar aur 1000 oont aut 15 ghode bhi diye.
**********
Madeena me musalmano ki ta’adad badhne lagi aur Masjid e Nabawi me jagah kam padne lagi tab aap ne masjid ko badi karne ke liye apne maal se mazeed zameen khareedkar di.
**********
Ek martaba Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne ek shakhs ko Hazrat Uṡmaan radiy-Allāhu ta’ala anhu ke paas bheja. Jab woh Aap ke makaan ke qareeb pahuncha to us ne suna ke Aap apne khaadim se keh rahe hain ke “Tune khaane me namak zara zyada daal diya hai. Agar tum namak kam daalte to wo kal ke liye kaam aata.” Yeh sunkar woh shakhs waapas chala gaya.
Dusri martaba jab raat ko wo pahuncha to suna Aap apne khaadim se keh rahe hain ke “Tune chiraagh ko zara zyada tez rakha hai. Agar tum tail bachaate to wo kal ke liye kaam aata.” Yeh sunkar woh waapas chala gaya.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne use phir se bheja aur kaha ke “Uṡmaan ko mera naam dena.” Us ne aisa hi kiya. To Aap ne kaha ke “Tum andar waale kamre me chale jaao aur jo chaaho le lo.” Woh andar gaya aur zaroorat ke mutaabiq maal lekar baahar aaya.
Phir us ne puchha ke “Jab main kal aaya tha to aap apne khaadim ko aisi chhoti baato ke liye daant rahe the aur aaj mujhe itna saara maal de rahe hain. Yeh baat meri samajh me nahi aai.”
Aap ne kaha ke “Fuzool-kharchi gunaah hai. Aur main Pyare Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ki sunnat par amal karta hu. Aur yeh sab maal mujhe ALLĀH ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me diya hai. Is liye use Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ki raza ke liye kharch karne me mujhe khushi hoti hai. Agar tum pehle hi bata dete to tumhe 3 martaba aana na padta.”
*********
Islam apnaane ke baad Aap ka ma’amool tha ke Aap har Ju’maa ko ek ghulaam aazaad karte.
Ek martaba Aap ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ko apne ashaaba ke saath apne yaha daawat ke liye arz kiya. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne daawat qubool farmai.
Waqt par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam apne ashaaba ke saath Hazrat Uṡmaan Ghani ke ghar tashreef le chale. Hazrat Uṡmaan Ghani Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke pichhe pichhe chalne lage aur aap ke qadam mubarak ginne lage. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne puchha “Aye Uṡmaan! Kya kar rahe ho?” Hazrat Uṡmaan ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Mere maa-baap aap par qurbaan. Main chaahta hu ki aap sallallahu alaihi wa sallam ke har qadam ke badle me aap ki azamt par ek ek ghulaam aazaad karu.
Chunaanche, Hazrat Uṡmaan ke ghar tak Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke jitne qadam pade utne ghulaam Hazrat Uṡmaan ne aazaad kiye.
**************
Ek martaba Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ashaaba ke saath daawat par gaye. Khaana khaate waqt Aap ke haath se niwaala gir gaya to Aap ne use saaf karke khaa liya. Yeh dekhkar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Yehi wajah hai ke Uṡmaan kitna bhi kharch karte hain lekin is amal ki wajah se us ke maal me barkat hi hoti hai.”
*********
Zil Qa’ada 6 Hijri (March 628 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam sahaaba ke saath Umrah ke liye Makka tashreef le gaye. Raaste me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Kharash ibn Ummayya al-Khuzai radiy-Allāhu ta’ala anhu ko apne oont par aage bheja. Hazrate Kharash ibn Ummayya Makka pahunche to Quraish ne oont ko maar daala aur Hazrate Kharash ibn Ummayya bahot mushkil se bachkar bhaage aur Maqaame Asfan par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki khidmat me haazir hokar saara waaqya bataaya.
Maqaame Hudaibiyyah pahunchkar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Umar Faarooq ko Makka jaane ke liye farmaaya to unho ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Kuffaare Quraish mere sakht dushman hain aur Makkah me mere qabeele ka aisa koi shakhs nahi hai jo mujhe un kaafiro se bacha sake.”
Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Makka bheja ke Quraish ke sardaaro ko bataaye ke “Musalman Umrah ke liye aaye hain jung ke liye nahi.”
Hazrate Uṡmaan Ghani jab Makka pahunche to Quraish ne kaha “Tum Tawaaf e Ka’aba aur Safa wa Marwa ki Saee karke apna Umrah ada kar lo. Magar hum Muhammad (sallallāhu alaihi wa sallam) ko hargiz Ka’aba ke qareeb na aane denge.” Aap ne kaha “Main Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke baghair tanha tawaaf nahi kar sakta.” Quraish ne Aap ko Makkah me rok liya.
Hazrate Uṡmaan Ghani ko aane me bahot der hui to yeh andesha hua ke shaayad Quraish ne unhe qatl kar diya ho.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne 1400 sahaaba ko ek darakht ke neeche jama karke bai'at ki. Tamaam sahaaba ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke haath par apna haath rakha aur yeh ahad kiya ke “Agar Quraish ne Hazrate Uṡmaan Ghani ko shaheed kar diya hai to hum us ka badla lenge aur har haal me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka saath denge.” Aakhir me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne sab se upar apna baaya haath rakha aur farmaaya “Mera yeh haath Uṡmaan bin Affaan ki taraf se hai.”
Yeh bai'at ‘Bai'at-ur-Ridwaan’ ke naam se mash'hoor hai.
Is ke baad Urwa bin Mas'ood ke samjhane par Quraish ne Hazrate Uṡmaan Ghani ko chhod diya aur Suhayl ibn Amr ko guftgu karne ke liye bheja. Musalmano aur Quraish ke bich Muahida tay hua, jise Sulah Hudaibiyyah kehte hain.
Aap jab Makka me the tab ba’az Sahaaba e kiraam ne kaha ke “Hazrat Uṡmaan Ghani khush-qismat hain ke woh Baitullāh shareef ka tawaaf karke aaenge.”
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Uṡmaan mere baghair tawaaf nahi karega.”
Hazrat Uṡmaan Ghani Makkah se jab waapas aaye to sahaaba ne un se puchha ke “Kya aap ne Baitullāh ka tawaaf bhi kiya?”
Aap ne jawaab diya “ALLĀH ki qasam. Quraish tawaaf karne ke liye israar karte rahe. Lekin agar main waha [Makkah me] ek saal bhi muqeem rehta to bhi Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ke baghair tawaaf na karta.”
*********
Ek martaba Huzoor sallallāhu alaihi wasallam ki baargaah me ek Janaaza laaya gaya. Aap ne us ki namaaz e janaaza padhaane se inkaar kiya.
Aur farmaaya “Yeh Uṡmaan se bughz rakhta tha. Lihaaza ab ALLĀH bhi is shakhs se naraaz hai.”
*********
Zil Qa’ada 7 Hijri (629 A.D.) me Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath Umrah kiya.
8 Hijri (630 A.D.) me Fatah Makka ke baad Aap ki waalida aur pariwaar musalman hua.
Shawwaal 8 Hijri me Junge Hunain ke baad Aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke saath Umrah ada kiya.
9 Hijri (631 A.D.) me Aap ne Ameer-ul-Hujaaj Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath Hajj ada kiya.
Phir 10 Hijri (632 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wasallam ke saath Hajj ada kiya.
Aap roz raat ko ek khatm Qur'ān tilaawat karte.
*********
Huzoor sallallāhu alaihi wasallam ke wisaal ke baad Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke baad Aap ne Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu se Bai'at ki.
Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke musheer rahe.
Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ne apne wisaal ke din Hazrate Uṡmaan ko aur Hazrat Abdur Rahmān bin Awf radiy-Allāhu ta’ala anhu ko Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ko khalifa banaane ki wasiyat ki.
*********
Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Madeena munwwara me qahet pada. Logo ke liye anaaj nahi the. Hazrat Umar Faarooq ko pata chala ke Hazrate Uṡmaan Ghani ke gandoom se lade hue oont aa rahe hain. Unho ne Aap ko paighaam bheja ke “Agar Aap aadhe daam me gandoom beche to sab ke liye anaaj muhayya kiya jaa sake.” Aap ne farmaaya “Ameer-ul-mo’mineen se kehna ke Uṡmaan to 10 guna lena chaahta hai.” Jab Hazrat Umar Faarooq ne ye suna to jalaal me aa gaye aur farmaaya ke “Kya yeh wohi Uṡmaan hai jis ne musalmano ke liye kuva khareed kar waqaf kiya tha aur apne maal se islaami lashkar ki madad ki thi. Aise haalaat me 10 guna daam kaun dega?” Aap ne farmaaya “Ameer-ul-mo’mineen se kehna ke ek darbaar aisa hai jo 700 bhi de sakta hai.” Jab Hazrat Umar Faarooq ne yeh suna to un ki aankho me aansoo aa gaye aur farmaaya “Beshak Rabbul aalameen ke darbaar me 700 guna bhi mil sakta hai.”
Hazrate Uṡmaan Ghani ne tamaam gandoom musalmano me taqseem kar diye.
*********
Aap 5 Moharram 24 Hijri (11 November 644 A.D.) ko Hazrat Umar Farooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke baad teesre Khalifa hue.
Aap ke zamaane me Islaami saltanat Asia aur Africa me Faars (Iran) aur Khurasan (Afghanistan) tak aur Tunisia aur Morocco tak phaili.
Aap ke zamaane me Qur'ān majeed ko jama karke Kitaab banaane ka kaam mukammal hua, jo Hazrate Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke mashware par shuru kiya gaya tha.
*********************
Ek martaba ek shakhs ne raasta chalte hue ek ajnabi aurat ko ghoor ghoor kar galat nazar se dekha. Is ke baad woh Ameer-ul-Mo’mineen Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki khidmat me haazir hua to us shakhsh ko dekhkar aap ne pur jalaal lehje me irshaad farmaaya “Tum log aisi haalaat me mere paas aate ho ki tumhari aankhon mei Zina ke aṡraat hote hain.” Us shakhs ne kaha ki “Aye Ameer-ul-Mo’mineen! Kya Rasool-Allāh ke baad aap par 'Wahi' utarne lagi hai? Aap ko kaise maaloom hua ki meri aankhon me Zina ke aṡraat hain?”
Aap ne irshaad farmaaya ‘”Mere upar wahi to naazil nahi hoti magar maine jo kaha wo bilkul sachi baat hai, Kyun ki ALLĀH ta’ala ne mujhe aisi Firaasat ataa farmai hai jis se main logon ke dilo ke haalaat aur khayaal jaan liya karta hu.”
*********
Ek martaba ek qabr ko dekhkar Aap rone lage. Logo ne kaha “Huzoor! Aap kyun ro rahe hain? Aap ko to Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne jannat ki bashaarat ata ki hai.” Aap ne farmaaya “Qabr aakhirat ki pehli manzil hai. Sab ko is se guzarna hai. Waha kya haalaat honge woh koi nahi jaanta. Agar ALLĀH ta’ala kisi khata par hamari pakad kare to us ke azaab se koi bacha nahi sakta.”
*********
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Ta’ajjub hai us par jo Jannat par eimaan rakhta hai aur phir dunya ke aish o aaraam se waabasta rehta hai.
Ta’ajjub hai us par jo Dozakh (ke azaab) ke baare me jaanta hai phir dunya me gunaah se door nahi hota.
Ta’ajjub hai us par jo shaitaan ko dushman jaanta hai aur phir us ki ita’at karta hai.
(2) Gunaah kisi na kisi surat me dil ko pareshaan rakhta hai.
(3) Zabaan ki lagzish paanv ki lagzish se zyada khatarnaak hai.
(4) Khaamoshi ghusse ka behtareen ilaaj hai.
(5) Haqeer se haqeer pesha ikhtiyaar karke mehnat karna haath failaane se zyada behtar hai.
(6) Kisi ki aankh tumhari wajah se nam na ho, Kyun ki tumhe us ke har aansoo ka qarz chukana hoga.
(7) Hamesha sach bolo taake qasam khaane ki zaroorat na pade.
(8) Dunya ke liye pareshaan hona ye qalb ki taariki hai aur aakhirat ke liye pareshaan hona ye qalb ka noor hai.
*************
Aap se 146 ahadeeṡ marwi hai.
Aap riwaayat karte hain ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya,
“Jis ne namaaze Ishaa ba-jama’at ada ki use aadhi raat ki ibaadat ka ṡawaab milega aur jis ne namaaze Ishaa aur namaaze Fajr ba-jama’at ada ki use puri raat ki ibaadat ka ṡawaab milega.”
*********
Ek martaba Hazrat Ubaid ibne Imraan radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Hazrat Uṡmaan Ghani se kaha “Ek raat ko main Behar e Kulzum ke kinaare par tha aur us ke paani se wuzu kar raha tha. Jab maine us paani ko chakha to mujhe behad ta’ajjub hua ke woh paani khaara hone ke bajaay shahed se bhi zyaada meetha ma’aloom hua.” Ye sunkar Aap ne farmaaya “Aye Ubaid! Woh Lailatul Qadr hogi.” Phir farmaaya “Jis shakhs ne is raat ko ALLĀH ta’ala ki yaad me guzaari us ne jaise hazaar maah se bhi zyaada arsa ibaadat ki aur ALLĀH ta’ala uske tamaam gunaah ko muaaf farma dega.”
*********
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Musalman hone se pehle Aap ki 2 biwiya, 6 bete aur 2 betiya thi.
(1) Umme Amr bint undab se
4 bete : Amr, Khaalid, Abaan, Umar;
1 beti : Maryam.
(2) Faatimah bint Waleed se
2 bete : Waleed, Saeed;
1 beti : Umme Saeed.
 In me se sirf Hazrate Abaan radiy-Allāhu ta’ala anhu musalman hue.
Musalman hone ke baad Aap ki 6 biwiya aur 3 saahabzaade aur 4 saahabzaadiya hain.
(1) Ruqayya bint Huzoor Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam (Wisaal 2 Hijri) se
1 beta : Abdullāh.
(2) Umme Kulṡoom bint Huzoor Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam (Wisaal 8 Hijri).
(3) Fahida bint Ghazwan se
1 beta : Abdullāh al-asghar.
(4) Ummul Baneen bint Einiyah se
1 beta : Abdul Malik.
(5) Ramla bint Shaibah se
3 betiya : Aa'isha, Umme Aban, Umme Amr.
(6) Nailah bint Fraizah se
1 beti : Maryam.
 Aap ke teeno bete kam umr me wafaat paaye.
*********
35 Hijri me Kufa, Basra aur Misr (Egypt) se 3000 baaghi Madeena ke ird gird ke Zi-Khashab, Zi-Murwah aur Awas ilaaqe me jama hue. Phir unho ne hamla karke Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke makaan par ghera daala. Aap ne apne saathiyo ko musalmano ke khilaaf jang karne se mana farmaaya. Baaghiyo ne Aap ke ghar me khaane peene ki cheeze pahunchane par rok laga di.
Hazrate Hasan ibn Ali, Husain ibn Ali , Abdullāh ibn Zubair radiy-Allāhu ta’ala anhuma aur Marwaan bin Hakam ne Aap ki hifaazat ke liye Aap ke ghar par pehra diya. Ummul mo’mineen Hazrat Safiya bint Huyay radiy-Allāhu ta’ala anha ne Aap ko khaana aur paani pahunchaane ki koshish ki magar woh nakaam hui.
Jab Raafziyo ne dekha ke darwaaze se andar jaana mumkin nahi to ghar ki chhat par chadh gaye aur use todkar andar pahunche.
Unho ne tilaawate Qur'ān kar rahe Hazrate Uṡmaan Ghani ke sar par zordar waar kiya aur Aap ko jahkmi kar diya.
Jab Aap par waar kiya gaya to aap ne farmaaya “Bismillāhi tawakkaltu al-Allāh.” Aur Aap ki daadhi mubarak se behta hua khoon Qur'ān majeed par girne laga.
Maana jaata hai ke Aap ko jakhmi karke shaheed karne waale ka naam ‘Hemaar’ tha.
Shahaadat se kuchh waqt pehle Aap ne apne ashaab se farmaaya “Mujhe khwaab me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya : Aye Uṡmaan, aaj iftaar hamare saath karna. Is liye aaj maine roza rakha hai.”
Aap ki ahalya mohtarama farmaati hain ke “Aap ko neend aai aur bedaar hote hi aap ne farmaaya ‘Ye muhaasara kiye hue log mujhe shaheed kar denge. Maine kaha ‘Aye Ameer ul mo’mineen! Hargiz nahi.’ Aap ne farmaaya ‘Huzoor Sarware Kaunain Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne khwaab me aakar farmaaya Tum is Jum’aa ko hamare paas haazir hone waale ho.”
*********
Aap ka wisaal 18 Zil Hijjah 35 Hijri (656 A.D.) ko 77 baras ki umr me hua.
Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Jaabir bin Muta’am radiy-Allāhu ta’ala anhu ne padhaai.
Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.
*********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments