Hazrat Abul Fatah Allama Maulana Hashmat Ali Khan rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Sher Besha e Ahle Sunnat (The Lion of Ahle Sunnat), Naasir-ul-Islaam, Asad-ul-Millat, Munaazir-e-Aazam, Ghaa'iz-ul-Munaafiqeen, Mazhar-e-Aala Hazrat.
****************
Aap ki wilaadat 1319 Hijri (1901 A.D.) me Lucknow me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Haafiz Muhammad Nawaab Ali Khan urfe Hidaayat Rasool Rampuri bin Muhammad Hayaat Khan hai.
Aap ke Jad e amjad Muhammad Khan Afridi ‘Dare e Khyber’ (Maujooda Pakistan) se Lucknow aaye aur yaha fauji afsar ke ohade par faa'iz kiye gaye.
****************
Aap ne ibtidaai ta’aleem Haafiz Qaari Tuaha Tonki se haasil ki.
Phir Madrasa e Furqaaniya, Lucknow me daakhil hue.
9 saal ki umr me Aap Haafize Qur’an hue aur 12 saal ki umr me Tajweed aur Qir’at-e-Saba ke maahir hue.
Faarsi ki ibtidaai ta’aleem Ahmad Husain Lucknowi se haasil ki, aur Nahw wa Sarf ki ibtidaai kitaaben Maulwi Nasir-ud-deen se padhi.
Wahaabi firq ki aṡar ke tahet Mehfil e Meelaad ko Shirk o Bid'at kehkar waalidain ko aisa karne se bachne ki talqeen karne lage. Aap ke waalidain Aap ki ye baaten sun kar hairaan o pareshaan hue.
Ek roz jab Aap madrasa se padhai ke baad ghar aaye to dekha ke Aap ki waalida kuchh kitaaben dhoop me sukha rahi hain. Aap wo kitaaben dekhne lage. Un me Aa’la Hazrat ki ‘Tamheed-ul-Eimaan’ naami kitaab bhi thi. Aap ne us ko uthaaya aur padhna shuru kiya. Jaise jaise Kitaab ka muta’alla karte gaye gumraahi doora hoti rahi ur dil ka aalam badal gaya aur farmaane lage ‘Yaqeenan kaafir hain, Yaqeenan kaafir hain.’
***************
Phir 1335 Hijri (1917 A.D.) me Bareilly tashreef laaye aur 16 saal ki umr me Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullahi alaihi ke mureed hue.
Phir Daar-ul-Uloom Manzar-e-Islaam, Bareilly me Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan, Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi, Hazrat Hujjat-ul-Islaam Maulana Muhammad Haamid Raza Khan, Hazrat Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan, aur Hazrat Maulan Raham Ilāhi Manglori rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
Ta’aleem ke dauraan Aa’la Hazrat ki Aap par khaas nigaahe tawajjoh farmai.
1335 Hijri (1917 A.D.) me Hujjat-ul-Islaam Maulana Muhammad Haamid Raza Khan ne Aap ko Dastaar-e-Fazeelat ata farmai.
****************
Is ke baad Aap Daar-ul-Uloom Manzar-e-Islaam me Mudarris bane. Phir Jamaat-e-Raza-e-Mustafa, Bareilly me Mufti bane. Phir Daar-ul-Uloom Ahle Sunnat Miskeenia me Sadr-ul-Mudarriseen bane. Phir Gojra waala me Zeenat-ul-Masjid me Khateeb bane.
****************
Aap aala darje ke Munaazir the.
Aap ka sab se pehla Munazara Haldavani me hua. 18 Saal ki umr me A’ala Hazrat ne Aap ko Sadr Munaazir ki banakar bheja. Deobandiyo ki taraf se Ashraf Ali Thanwi ka Khalifa Yaasin Khaam-sarai Sadr Munaazir tha. Deobandi us ko Apna sab se bada munaazir maante the. Us munazare me Deobandiyo ko shikast mili Aur Ahle Sunnat ko ALLĀH ne fateh aur kaamyaabi ataa farmai.
Jab Aap A’ala Hazrat ki baargaah me aaye A’ala Hazrat ne Aap ko qareeb bulaaya aur khade hokar apne seene se lagaaya. Phir apna amaama shareef Aap ke sar par rakha aur apna jhubba mubarak ataa farmaaya aur Aap ko apni jeb se 5 rupye inaayat farmaaye.
A’ala Hazrat ne Aap ko ‘Abul Fatah’ aur ‘Ghaa'iz-ul-Mun
aafiqean’ ke alqaab ata farmaaye the.
Wahaabi, Qadiani, Naichri, Chakralwi, Khaaksaari, aur Bahai jaise Bad-mazhab firqo ke saath Munaazara me ALLĀH ta’ala ke fazl se Aap ne hamesha fateh haasil ki.
Sudhi tehreeq ke dauraan bhi Aap ne Islaam aur musalmano ki hifaazat karne me kaamyaabi haasil ki.
Aap ki taqreer aur wa’az sunkar beshumaar logo ka eimaan aur aqeeda mazboot hua. Aap ne logo ke dilo me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki aur Auliya Allāh ki mohabbat mazboot ki.
Aap ne apni taqreer aur tehreer (tasannif) ke zariye Ahle Sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki.
Aap ke hum-asr ulama wa masha'ikh Aap ki bahot ta’azeem wa takreem karte the.
****************
Ek martaba shehre Surat me Aap taqreer farma rahe the. Maulana Ghulaam Nizaam-ud-deen Qaadri Barkaati ne dekha ke Ek buzurg safed daadhi, safed malmal ka angrakha pehne safed a
maama baandhe apne asaa par zor dekar Sher Besha e Ahle Sunnat rahmatullāhi alaihi ki kursi ke pichhe jalwa afroz hain aur apna daahina haath Hazrat ki pusht mubarak par rakhe hue hain.
Maulana Ghulaam Nizaam-ud-deen Qaadri Barkaati un ko dekhkar khade ho gaye. Dauraane wa’az jab Hazrat ne Maulana ko khade dekha to baithne ke liye kaha. Magar Maulana salaat o salaam tak khade rahe. Jab Hazrat dua maangne lage to wo Buzurg nigaah se ojhal ho gaye aur Maulana baith gaye.
Qayaam-gaah par aane ke baad Hazrat ne Maulana se khade hone ka aur aakhir tak khade rehne ka sabab puchha to unho ne waaqia bayaan kiya aur un Buzurg ki shakl o shabaahat bataai. Hazrat ne ye sunkar farmaaya ke ‘Aap barkat waale hain ke aap ko Mujaddid e deen o millat Sarkaar A’ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Faazile Bareilwi rahmatullāhi alaihi ki bedaari me ziyarat naseeb hui aur Alhamdulillāh ke Huzoor Aala Hazrat is Faqeer Sage Razawi se raazi hain aur madad farma rahe hain.’
************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Anwaar e Ghaib
(2) Al-Qilaadatul-Tayyab
(3) Raadd-ul-Muhannad
(4) Taqreer Muneer e Qalb
(5) Qahr Wajid Diyan Bar Hamsheer Bast-ul-Banan
(6) Shamme Munawwar Raahe Najaat
(7) As-Samare-ul-Hindiya
(8) Ulama e Deoband ki Makkariyan.
************
Aap ke 3 saahabzaade hain :
(1) Idress Raza Khan
(2) Mushaahid Raza Khan
(3) Askari Raza Khan.
************
Aap Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Hujjat-ul-Islaam Maulana Muhammad Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi, Hazrat Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi, Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Qutb-e-Madeena Maulana Zia-ud-deen Ahmad Madani rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Abul Masaakin Maulana Zia-ud-deen Pilibhiti rahmatullāhi alaihi ne Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap se ‘(Qaadri Barkaati Razawi) Hashmati’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Allama Idress Raza Khan
(2) Hazrat Allama Mushaahid Raza Khan
(3) Hazrat Haafiz Qaari Askari Raza Khan
(4) Hazrat Maulana Taqaddus Ali Khan
(5) Hazrat Allama Abdul Mustafa Hashmati
(6) Hazrat Abdul Wahaab Balrampuri.
****************
Barabanki me Deobandio ko Aap ne munaazare me shikast di. Is ke baad ek shakhs Sunni hone ka dikhaawa karke Aap ki khidmat me raha. Aur ek din Paan me Aap ko zeher diya. Aap ko paan me kuchh ajeeb sa mehsoos hua aur foran paan thoonk diya. Magar zeher ki aṡar se Aap ke gale ke andar soojhan ho gai aur takleef badhti rahi aur usi ke sabab Aap ka inteqaal hua.
****************
Aap ka wisaal 8 Moharram 1380 Hijri (3 July 1960 A.D.) ko subah ko 10 baje hua.
Aap ka mazaar Hashmat nagar, Pilibhit (Uttar Pradesh) me hai.
**********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Allama Maulana Hashmat Ali Khan rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen. —
0 Comments