ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME
Post No. 8
➡ Jihad Quran Ki Roshni Me
🅾 Reh Gaya Jihad Ka Tisra (3rd) Aur Aakhri Pehloo To Ye Hai Ke Jihad Ki Sharte Aur Pabandiya Kya Kya Hai? Yani Jihad Kisi Par Zyadati Karna Jaiz Hai Ya Najaiz, Makano Ko Jalana, Unki Fasalo Jo Tabah Karna Kya Jungi Farz Hai? To Aayat Batati Hai (Vala Ta'tadu Innllaha La Yuhibbul Mua'tadin) Tarjuma:- Zyadati Mat Karo. Had Se Mat Badho Agarche Dushmani Ke Intekam Me Tumhare Jazbaat Out Of Control Ho. Dushman Ki Adavat Tumhare Seene Ko Jala Rahi Ho Kyu Ke Zyadati Karne Valo Ko Allah Ta'ala Pasand Nahi Karta.
🅾 Ek Dusre Mauke Par Allah Ta'ala Yu Apne Bando Ko Adal Va Insaf Ki Hidayat Farmata Hai
Tarjuma:- Aur Tumko Kisi Kaum Ki Dushmani Is Par Na Ubhare Ke Insaf Na Karo. Insaf Karo Ke Vo Parhezgari Se Zyada Karib Hai Aur Allah Se Daro. Beshak Allah Ko Tumhare Kamo Ki Khabar Hai.
(Para 6, Surah Ma'eeda Aayat 8)
🅾 Aap Jante Hai Ke Jwalmukhi Sadiyo Tak Apne Seene Me Aag Ka Indhan Bharta Rehta Hai. Magar Jab Vo Phat'ta Hai To Apne Pas Aur Dur Ki Kisi Chiz Ko Salamat Nahi Chhodta. Jo Chiz Uske Raste Me Aati Hai Jal Kar Apna Vajood Kho Deti Hai.
➡ Mazmoon Jaari Rahega.
0 Comments