🌹SAWAL🌹
Moharram Ke Juloos Me kuch Sunni Ladko Ne Apne Seene Or Peeth Par Chaaku, Churi, Blad, To Kisi Ne Tubelight, Muh se Aag Nikala Ye Saare Kaam Kiya Un Ladko Par Shariyat Ka Kya Hukm Hai.
🌹JAWAB🌹
Muharram ke Juloos Me Noha Karna, Sarke Baal Bikherna, Kapde Fadna, Sar par khak dalna, Sina Kubi Karna, Ba'az Jagaho par zanjiro chhuriyo se matam karte He ki sine se khun bahne lagta he. Ye Sab Najaizo Haram Or Jahilo Ke Af'aal He. Hadis Shareef Me Is Ki Sakht Mumane'at Aai he . Is se Muslaman Ko Bachna Lazim He.
Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,
Matam w Noha Muharram Ho Ya Gair Muharram Mutlaqan Haram He.
📚(FATAWA RAZVIYA, J-23, S-404)
Or Hadis Shareef Me He,
Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaya Jo Rukhsare Pite, Gireban Faade, Or Daure Jahiliyat Ki Tarah Chikhe Chillaye Vo Ham Me Se Nahi.
📚(Sahihul Bukhari, J-1, S-436, Hadis-1235)
📚(Sahih Muslim, J-1, S-99)
Durre Mukhtar Me He, Gana Bajana Rona Pitna Ye Af'aale Gunah He.
📚(Durre Mukhtar, J-2, S-179)
Or Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Farmate He,
Noha W Matam Bhi Hota He Or Sina Kubi Hoti he, itne zor zor se sina kutte he ki Warm ho jata he, sina surkh ho jata he balki ba'az Jagah zanjiro or chhuriyo se matam karte he ki sine se khoon nikalne lagta he.
Or Farmate He,
Izhare Gam Ke Liye Sar Ke Baal Bikherte He, Kapde Fadte Or Sar Par Khak Dalte or bhunsa Udate he, Ye Bhi Najaiz or Jahiliyat Ke Kaam He, In se bachna nihayat zaroori he, Ahadis me inki sakht mumane'at Aai he. Musalmano par lazim he ki ayse umoor se parhez kare or ayse kaam kare jin se Allah ﷻ Or Rasool ﷺ Razi Ho, Yahi Nijat Ka Rasta He.
📚(Bahare Shariyat, Hissa-16)
Or Farmate He,
Gireban Faadna, Munh Nochna, Baal Kholna, Sar par khak dalna, Sina Kutna Raan Par Hath Marna Ye Sab Jahiliyat Ke Kaam He Or Haram He.
📚(Fatawa Hindiya, J-1, S-167)
Sahihain Me Abu Darda RadiAllahu Anhu Se Marvi, Farmate He RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya, jo Sar Mundaye,Or Noha Kare Or Kapde Faade Me Usse Bari Hu.
📚Sahih Muslim, Kitabul Iman, Hadis-104, S-66)
📚(BAHARE SHARIYAT, H-4)
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad
0 Comments