ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME
Post No. 10
➡ Jihad Quran Ki Roshni Me
🔷 Ek Aur Jagah Allah Apne Bando Ko Rehnumayi Karte Hue Irshad Farmata Hai:
Tarjuma:- Agar Tum Saza Do To Utni Hee Do Jitni Taklif Unhone Tumhe Pahunchai Hai. (Yani Zyadati Mat Karo)
( Surah Nahal Para 14, Aayat 126)
🔷 Zameen Me Fasad Felane Walo Ki Saza Ka Bayan Karte Hue Allah Ta'ala Qur'an Me Irshad Farmata Hai:
🌀 Tarjuma:- Un Logo Ki Saza Jo Allah Aur Uske Rasool ﷺ Se Jung Karte Hai Aur Zameen Me Fasad Felane Ki Koshish Karte Hai (Duniya Me) Ye Hai Ke (Chun Chun Kar) Unhe Qatl Kiya Jaye Ya Unko Suli Par Latka Diya Jaye Ya Unke Ek Taraf Ke Hath Aur Dusri Taraf Ke Paañv Kate Jaye Ya Unhe Mulk Se Nikal Diya Jaye. Ye Rusvayi To Unke Liye Sirf Duniya Me Hai Aur Aakhirat Me Unke Liye Dardnak Azab Hai.
🔷 Padhe Likhe Shaksh Se Lekar Anpadh Aadmi Tak Har Koi Ye Baat Achhi Tarah Jaanta Hai Ke Kisi Bhi Mulk Ki Tarakki Aur Khush-hali Ka Daromadar Isi Par Hai Ke Vaha Aman o Amaan Ho, Raste Mehfooz Ho, Jaan Va Maal Ka Khatra Na Ho, Log Jaha Chahe Bedhadak Ja Sake, Lekin Agar Kisi Ka Maksad Mulk Me Fasad Failana Ho, Jagah Jagah Railway Station, Bazar Me Bam Blast Karna, Bachho Aur Begunah Logo Ko Bam Ka Nishana Banana, Train Ki Patri Ukhad Dena, Telephone Aur Bijli Ke Taro Ko Kat Dena Ho To Vo Mazhab E Islam Me Kisi Reham Ka Haqdaar Nahi Hai. Usko Kitni Bhi Sazaye Di Jaye Utna Hee Achha Hai.
🔷 Kuch Sazaye Khud Allah Ta'ala Ne Bhi Uske Liye Muqarrar Ki Hai Ke "Vo Ya To Qatl Kar Diye Jaaye Ya Fasi Ke Fande Par Latka Diye Jaye, Ya Unko Mulk Se Bahar Nikal Diya Jaye Kyu Ke Mulk Ke Kone Kone Me Aman Kayam Karne, Raste Ko Mehfooz Banane Aur Fitna Va Fasad Ki Jade Katne Ka Hukm Allah Ta'ala Aur Uske Rasool ﷺ Ne Diya Hai.
➡ Mazmoon Jaari Rahega..
0 Comments