*ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME*
*Post No. 38*
🌀 Magar Huzur ﷺ To Sabke Liye Rehmat Ban Kar Aaye The. Intekam To Aapki Fitrat Me Hee Na Tha. Huzur ﷺ Ne Kuffare Makka Se Farmaya:
🖌 "Aaj Tum Par Koi Pakad Nahi. Jao Tum Sab Aazad Ho."
🌀 Huzur ﷺ Ke Is Akhlaaq Par Sirf Musalmaan Taarikhdaañ Hee Nahi Balke Angrez Taarikhdaañ Bhi Dil Khol Kar Khiraj e Aqidat Pesh Karte Hai. Chunanche Len Pole Is Tarah Apne Lafzo Me Aapki Reham Dili Ka Naksha Khichta Hai:
🖌 Translation:- Sachchayi Ek Mushkil Chiz Hai Aur Ye Sach Hai Ke Muhammed ﷺ Ka Apne Dushmano Par Gaalib Aana Khud Unke Liye Kaamiyabi Ka Din Tha. Unhone Un Tamam Saal Ki Musibato Aur Taklifo Ko Bhul Kar Jo Makka Walo Ne Unko Di Thi Unhe Aam Maafi De Di. Unhone Makka Ki Puri Aabadi Ko Aazadi Ata Farma Di.
🌀 Hazraat Ye Tha Musalmano Ki Kaamiyabi Ka Haal. Kisi Par Zara Bhi Zulm Na Hone Diya Gaya. Kisi Ke Ghar Ko Aag Nahi Lagai Gai, Kisi Ki Beti Ki Izzat Nahi Looti Gai, Kisi Ke Bachcho Ke Tukde Nahi Kiye Gaye, Kisi Jawaan Ko Nanga Nahi Kiya Gaya.
🌀 Magar Kabhi Aapne Americi Faujiyo Ke Us Sulook Par Gaur Kiya Jo Unhone Ne Iraq Par Kabza Hone Ke Baad Vaha Ki Awaam o Raashtrapati (President) Ke Saathe Kiya. Agarche Uski Poori Tasveer Aapko Dekhne Ko Nahi Mili Ho Lekin Zulm o Sitam Ki Vo Natamam Tasveer Hee Aapke Dil Ko Dehla Dene Ke Liye Kaafi Hai Jo Aapko Dikhayi Gayi.
➡ Mazmoon Jaari Rahega.
0 Comments