Kitabu-ut-Taharat (Roman) |
---|
Pesh-e-Lafz-Kitab-ut-Taharat "Taharat" Islam Mein Nihayat Ahmiyat Ki Haamil Hai, Kyunke Ye Na Sirf Jismani Paaki Ka Zariya Hai, Balke Roohani Safai Aur Ibadat Ki Qabooliyat Ke Liye Bhi Buniyadi Shart Hai. Allah Ta'ala Ne Quran-e-kareem Mein Farmaya:
(Beshak Allah Ta'ala Tauba Karne Walon Ko Aur Paak-saaf Rehne Walon Ko Pasand Farmata Hai.)
(Surah Al-baqarah, Ayat: 222).
Taharat Ka Taluq Sirf Jismani Safai Tak Mehdood Nahi, Balke is Se Akhlaqi Aur Roohani Paaki Bhi Murad Hai. Islam Mein Paaki Ko Aadha Imaan Qarar Diya Gaya Hai, Kyunke Baghair Paaki Ke Ibadat Qabool Nahi Hoti. Namaz, Quran Ki Tilaawat Aur Ibadat Se Pehle Taharat Ka Hukm Diya Gaya Hai. Nabi-e-kareem Ne Farmaya:
(Taharat Aadha Imaan Hai.)
(Muslim Shareef)
Taharat Sirf Paani Ya Dhoone Tak Mehdood Nahi, Balke Ismein Paakiza Zindagi, Nafs Ki Safai Aur Gunahon Se Doori Bhi Shaamil Hai. Ek Momin Ki Zindagi Mein Taharat Ka Raasikh Hona Zaroori Hai, Taake Wo Na Sirf Zaahir Mein Paak Ho, Balke Andar Se Bhi Paak Rahe. Taharat Ka Ta'alluq Sirf Ibadat Se Nahi, Balke Har Momin Ki Zindagi Ka Hissa Hai - Khane Peene Se Lekar Sohne Tak Aur Logo Se Milne Julne Tak Paakizgi Ka Paalan Zaroori Hai.
Is Risale Mein Bahar-e-shariat Ke Kitab-ut-Taharat Ko Roman English Mein Muntakil Kiya Gaya Hai, Taake Wo Log Jo Urdu Padhna Nahi Jaante, Wo Bhi is Ilm Se Faida Utha Sakein.
Khidmat-e-deen Team Ne is Risale Ki Tayyari Mein Nihayat Mehnat Aur Lagan Se Kaam Kiya Hai. Is Silsile Mein Humein Ustad-e-giraami Mufti Muhammad Maqsood Alam Farhat Jamat Raza E Mustafa, Hospet, Karnataka Ziyayi (Khalifa-e-huzoor Tajush'shariah Wa Huzoor Muhaddis-e- Kabeer Wa Sarparast-e-aala Jamat Raza-e-mustafa, Hospet) Ki Qeemti Rehnumai Naseeb Hui, Jo Hamare Liye Na Sirf Roshni Ka Manba Thi, Balke is Kaam Mein Rehnumai Ka Hissa Bhi Bani.
Hamne Bharpoor Koshish Ki Hai Ke is Risale Ko Behtareen Tareeke Se Tayyar Karein, Magar Insani Kaam Mein Ghalti Ka Imkaan Hota Hai. Agar Kahin Koi Ghalti Nazar Aaye Ya Koi Islah Ki Zaroorat Ho, to Bara-e-karam Humein Ittela Farmakar Isko Durust Karne Mein Madad Farmayein. Aapki Rai Aur Musavirat Hamare Liye Nihayat Qeemti Hai.
Is Risale Ka Maqsad Sirf Ilm Ka Faida Pahunchana Nahi, Balke Logon Ko Taharat Ki Ahemiyat Se Aagah Karna Hai, Taake Wo Apni Zindagi Mein Isko Ikhlaas Aur Jazbe Ke Saath Amal Mein Laayein. Taharat Sirf Jismani Paaki Nahi, Balke Roohani Paaki Ka Bhi Taqaza Karti Hai. Jo Log Taharat Ka Ihtimam Karte Hain, Unki Ibadat Mein Roohani Lutf Aur Taskeen Hoti Hai, Kyunke Paaki Khud Allah Ta'ala Ki Raza Aur Uski Qurbat Ka Zariya Hai.Dua Hai Ke Allah Ta'ala Hum Sab Ko Paak-Saf Rahne, Taharat Ka Ihtimam Karne Aur Iske Ahkaam Par Mukammal Taur Par Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye.
Ameen, Bijahi-Sayyid-il-Mursaleen
Writter : Huzoor Sadrush'shariah Mufti Amjad Ali Azami
️Roman Translated By : Khidmat E Deen Team
Pages : 164
Size : 3.12 Mb
Publish Year : 25/3/2025
️Roman Translated By : Khidmat E Deen Team
Pages : 164
Size : 3.12 Mb
Publish Year : 25/3/2025
Publisher : Jamat Razae Mustafa Hospet Karnataka India
0 Comments